Date : 21-09-2015
1. Ishwar Kare, Tujhe Vah Sab Mile, Jisase Teri Khushi Bdhe Apaar,
Too Aank Band Karke Bhi Dekhle , Saari Duniyaa Ke Aar Paar !
2. Main Kaise Kah Dun, Tune Hamko Jeevanbhar Ki Pyaas Dee,
Ham To Kahenge Ki Bas Toone Hi Hame Nayi Jindagi Aur Saans Dee !
3. Har Koshish Ham Karte Rahe, Tune Hame Chaahe Aas Dee Yaa Ghaas Dee ,
Par Chillakar Jab Toone Hame Daant Dee, Wahi Hame Sabse Jyaadaa Khaas Dee !
4. Teri Nazar Ke Saamne , Prayatn Hamne Sab Kiye,
Too Jaanti Kuchh Bhi Nahi Ki Tere Baad Ham Kaise Jiye !
5. Dekho Dande Ki Dan-Dan Dhauns Se, Ham Pyaar Kar Sakte Nahi,
Par Prem Se Jo Hamko Pukare, Bas Usase Ham Bach Sakate Nahi !
___________________________________________________________________
Date : 20-09-2015
1. Kyaa Pyaar Hai Roohaani Ibaadat Ya Pyaar Hai Koi Gandagi,
Are Pyaar To Hai Hriday Ki Halchal Aur Do Dilon Ki Bandagi !
2. Yadi Too Pyaar Karta Hai Khudaa Se, To Pahale Khud Se Aur Bando Se Kar,
Deen-Dukhiyon Ko Too De Panaah Aur Har Gunaah Karne Se Dar !
3. Jab Jawan Umr Ke Unmaad Se, Jo Soch-Samajh Kho Dete Hain,
Woh Gandagi Ko Samajhkar Sundartaa,Uske Peechhe-Peechhe Ho Lete Hain !
4. Galat Raah Mein Jab Jawaani Ka Junoon, Asar Karta Hai Soch-Samajh Khokar,
Fir Maayaa Ke Makadjaal Mein Maanav, Jeevan Jeetaa Hai Khokar-Rokar !
5. Bas Isiliye Jeevan Jeenaa Hai, Hame Bahut Hoshiyaari Se,
Jab Sakshaatkaar Hai Sunishchit, To Parlok Mein Jaanaa Taiyaari Se !
___________________________________________________________________
Date : 19-09-2015
1. Aao Naam Len Ham Raam Ka, Jo Hai Bade Hi Kaam Ka,
Yah Jeevan Beeta Ja Rahaa, ( Yun Hi ) Benaam Ka Aur Bedaam Ka !
2. Ham Jeet Lenge Jang Jindagi Ki, Ishwar Hai Apne Saath Mein,
Apne Dil Ke Hain Ham Bade Raeesjaade, Chaahe Kuchh Nahi Ho Hath Mein !
3. Ishwar Ki Bhakti Aur Man Ki Shakti, Sachmuch Bade Bejod Hain Apne Aap Mein,
Railgaadi (Train) Bhi Dod Padati Hai Jisase, Wah! Kyaa Baat Hai Ush Bhap Mein !
4. Kabhi Gandi Baatein Na Sochnaa, Badi Faltoo Ki Baatein Hain Ye Sabhi,
Agar Dil Mein Basaalo Raam (Kudaa) Ko, To Parmaanada Milegaa Yahin Abhi !
5. Chhi-Chhi ! Are (Ajee Chhodiye) Kya Kah Diya, Aapne Is Andheri Raat Mein,
Man Gandaa Meraa Ho Gayaa, Bas Is Jaraa See Baat Mein !
6. Na Dekho Mujhko Ghoor Ke, Main Hun Ek Saral Sa Aadami
Insaaniyat Ke Vaaste, Mujhe Kaee achchhe Kaam Karne Hain Laajami !
7. Shabdon Ke Naye-Naye Pahiyon Se, Ab Apne Geeton (Kavita) Ki Gadee Chal Padi,
Ham Bhi Gaayaa Karenge Kabhi Kavi Sammelano Mein, Jaroor Aayegi Ek Din Vah Shubh Ghadi !
8. Ek Din Hamne Unse Kuchh Kah Diyaa Thaa, Jab Apnaa Dil Ho Gayaa Thaa Laapataa,
Phir (Krodh Mein) Cheekhkar Hamne Unse Poochhaa, " (Kyaa) Aapko Kuchh Bhi Nahi Pataa?"
9. Phir Hamko Usne Aise Dekhaa, Jaise Unse ( Sach Mein) Koi Bhool Badi Bhaari Ho Gayee,
Jab Jaag Rahaa Thaa Yah Bechhara, To Haay ! Main Bhalaa Kyon So Gayee !
____________________________________________________________________
Date : 18-09-2015
1-
1-
Kyon Karenge Ham Nakal Jab Akal Hai Apne Paas Mein !
Ham Jaante Hain Saanp Aksar Chhipe Hote Hai Ghaas Mein !
2-
Main JAL KE TAL Mein Jab Dekhataa Hun Pyaaraa Sa Sundar Gagan!
Mera Man Mayur Mujhse Kahe, Ish-Bhakti Mein Kuchh Naach Le Hoke Magan !
3-
In Lamhon Mein VAJAN Hai Kintna Taraazoo Mein Tol Do !
Ye Fir Nahin Aayenge Vaapis Saari Duniya Mein Bol Do !
4-
Maa Hamaari Sabse Pyaari, Jo Sikhaati Hamen Duniyadaari !
Gauri Ya Kali Jaisi Bhi Hai Woh, Hamko Lagti Adbhut Aur Nyaari !
5-
Keemati Hai Yah Jindagi Aur Kimati Hai Yah Saanson Ki Nidhi !
Nirbhar Ham Par Hai Yah Sari Ki Ham Jeete Hai Isko KIs Vidhi !
-- Kavi Gyani Hindustani
Date : 18-09-2015
Date : 18-09-2015
_________________________________________________
1-
Ab chakkar chalaana chhod do, kyonki kuch bhi is mein hai rakha nahi !
Ham sab anjaan aur naadaan hain, Koi bhi shaatir yahaan pakka nahin !
- Kavi Gyani Hindustani DATE -17-09-2015
2- 17-09-2015
Karn aur Bali jaisa ban ke dikhaaye koi dani, to mein jaanu !
Agar pryaas ho har pyase ko pilane ka pani, to mein jaanu !
________________________________________________
Ab chakkar chalaana chhod do, kyonki kuch bhi is mein hai rakha nahi !
Ham sab anjaan aur naadaan hain, Koi bhi shaatir yahaan pakka nahin !
- Kavi Gyani Hindustani DATE -17-09-2015
2- 17-09-2015
Karn aur Bali jaisa ban ke dikhaaye koi dani, to mein jaanu !
Agar pryaas ho har pyase ko pilane ka pani, to mein jaanu !
________________________________________________
__________
1- 16-09-2015
Dard to sach mein hi hathilaa badaa hai, Sochta hai khud ko ki vah sabse badaa hai !
Par Voh jeet gaye baaji sach mein jindagi ki, Jisne bhi palatkar dard ko mukka jada hai !
________________________________________________________
1- 16-09-2015
Dard to sach mein hi hathilaa badaa hai, Sochta hai khud ko ki vah sabse badaa hai !
Par Voh jeet gaye baaji sach mein jindagi ki, Jisne bhi palatkar dard ko mukka jada hai !
________________________________________________________
1- 15-09-2015
yah bhi socho kab kyaa paayaa aur kahan-kahan par maat hui !
Kathputali to nahi ban gaye kisiki, jab din nikla ya raat hui !
2-
Ab mat socho ab kuchh bhi aisaa , kyonki jo hona tha wahi huaa hai !
Aankh band kar ke ( Bina Soche ) jisne pyaar kiya hai, vahi hamesha tabahah huaa hai !
_______________________________________________________________________
Some Short Poems Or Kavita On Given Challenging Topic For Humour
Composed By Kavi Gyani Hindustani ( Gyanendra Singh )
तेल दरी वाली कविता, लिखना आसान नहीं है ¦
या हो सकता है अभी मुझे, कविता का ज्ञान नहीं है ¦¦ By A Promising Poetess To Motivate Others !
Date-wise Apani Shaayari ( Title - Dari Aur Tel )तेल दरी वाली कविता, लिखना आसान नहीं है ¦
या हो सकता है अभी मुझे, कविता का ज्ञान नहीं है ¦¦ By A Promising Poetess To Motivate Others !
20th & 21st September, 2015
1. Dari Hamaari Makhmali (Ya Bharbhari) Aur Apna Chikna Chikna Tel,
Are Yah Jeevan Bhi Ek Khel Hai, Tu Isko Khel Sake To Khel !
2. Kati-Fati Dari Par Letkar, Maine Pankhaa Diyaa Chalaa,
Ab Man Meraa Maalish Karne Ko Huaa, Zaraa Too Tel To Le Aa !
3. Meri Galti Se Tel Dari Par Gira, Aur Apni Dari Gandi Ho Gayi,
Are Ye Duniya Jaaye Bhaad Mein, Main Neend mein,Fir Bhi Uspe So Gayi !
4. Ek Fatee Dari Par Letkar, Main Raatbhar Bhoot Se Darti Rahi,
Main Use Jalaa Daalungi Uspar Tel Fenkkar, Yahi Himmat Main Karti Rahi !
5. Main Dari-Dari(D for Dog) Ghar Mein Ghusi, Kamre Mein Thaa andheraa Ghupp,
Fir Diye Mein Tel Daalkar Diyaa Jalaaya Aur Fir Dari Nikaal Le Aayi Main Chup !
6. Hame Dari Jyaadaa Pasand Nahi Agar Gadda Ho Apne Paas,
Tel-Malish Karke Hame Sonaa Hai, Chaahe Kitne Bhi Taane Maare Apni Saas !
7.Dari-Dari Pukaarti, Main Dari-Dari (Here D for dog) Aage Badhati Rahi,
Gahr Mein Tel Thaa Khatm Aur Dari Gaayab Aur Main Dosh Dusaron Par Madhti Rahi !
8. Dari Hamein Jab Mil Gayi, Hamne Kambal Bhi Liyaa Odh,
Kaane Mein Tel Ham Ab Jyaada Lete Nahi, Kyonki Ham Ho Gaye Hai Ab Prodh !
19th September, 2015
Zaraa Hamen Apne Haal Pe Chhod Do, Koi Bhi Kare Na Ham Se Dillagi !
Dari Aur Tel Ki Baaten Kabhi Ham Rail ( Train ) Mein Karte Nahi !
Ab To Ham Aajaad Hain, Kyonki Ab Ham Kisi Pe Bhi Marte Nahin !
No comments:
Post a Comment