Friday, 18 September 2015


Some Latest Poetic Thoughts Composed by Kavi Gyani Hindustani ( Gyanendra Singh )
____________________________________________________________________
      Date : 19-09-2015   Some Poetic Lines Like Sher ( Mirza Galib Diction Or Style )
1.  Aao Naam Len Ham Raam Ka, Jo Hai Bade Hi Kaam Ka,
     Yah Jeevan Beeta Ja Rahaa, ( Yun Hi ) Benaam Ka Aur Bedaam Ka !
2. Ham Jeet Lenge Jang Jindagi Ki, Ishwar Hai Apne Saath Mein,
    Apne Dil Ke Hain Ham Bade Raeesjaade, Chaahe Kuchh Nahi Ho Hath Mein !

3.   Ishwar Ki Bhakti Aur Man Ki Shakti, Sachmuch Bade Bejod Hain Apne Aap Mein,
      Railgaadi (Train) Bhi Dod Padati Hai Jisase, Wah! Kyaa Baat Hai Ush Bhap Mein !

4.  'Tel Aur Dari' Tahaa 'Khel Aur Pari' Ye Hamen Ab Behudaa Baaten Lagne Lagi,
      Zaraa Hamen Apne Haal Pe Chhod Do, Koi Bhi Kare Na Ham Se Dillagi !



____________________________________________________________________
                Date : 18-09-2015
1-
    Kyon Karenge Ham Nakal Jab Akal Hai Apne Paas Mein !
    Ham Jaante Hain Saanp Aksar Chhipe Hote Hai Ghaas Mein !
2-
Main JAL KE TAL Mein Jab Dekhataa Hun Pyaaraa Sa Sundar Gagan!
Mera Man Mayur Mujhse Kahe, Ish-Bhakti Mein Kuchh Naach Le Hoke Magan !
3-
In Lamhon Mein VAJAN Hai Kintna Taraazoo Mein Tol Do !  
Ye Fir Nahin Aayenge Vaapis Saari Duniya Mein Bol Do ! 
4-
 Maa Hamaari Sabse Pyaari, Jo Sikhaati Hamen Duniyadaari !  
Gauri Ya Kali Jaisi Bhi Hai Woh, Hamko Lagti Adbhut Aur Nyaari !  
5-
Keemati Hai Yah Jindagi Aur Kimati Hai Yah Saanson Ki Nidhi !
Nirbhar Ham Par Hai Yah Sari Ki Ham Jeete Hai Isko KIs Vidhi !
6-
     Tel Ki Baaten Kabhi Ham Rail ( Train ) Mein Karte Nahi !  
Ab To Ham Aajaad Hain, Kyonki Kisi Pe Bhi Ham Marte Nahin !

-- Kavi Gyani Hindustani
Date : 18-09-2015
_________________________________________________
1-
Ab chakkar chalaana chhod do, kyonki kuch bhi is mein hai rakha nahi !
Ham sab anjaan aur naadaan hain, Koi bhi shaatir yahaan pakka nahin !
- Kavi Gyani Hindustani DATE -17-09-2015
2- 17-09-2015
Karn aur Bali jaisa ban ke dikhaaye koi dani, to mein jaanu !
Agar pryaas ho har pyase ko pilane ka pani, to mein jaanu !
________________________________________________
__________
1- 16-09-2015
Dard to sach mein hi hathilaa badaa hai, Sochta hai khud ko ki vah sabse badaa hai !
Par Voh jeet gaye baaji sach mein jindagi ki, Jisne bhi palatkar dard ko mukka jada hai !
________________________________________________________
1- 15-09-2015
yah bhi socho kab kyaa paayaa aur kahan-kahan par maat hui !
Kathputali to nahi ban gaye kisiki, jab din nikla ya raat hui !
2-
Ab mat socho ab kuchh bhi aisaa , kyonki jo hona tha wahi huaa hai !
Aankh band kar ke ( Bina Soche ) jisne pyaar kiya hai, vahi hamesha tabahah huaa hai !




No comments:

Post a Comment